Thursday, September 17, 2009

Shikwa Hai Zindagi Se

shikwa hain zindagi se tumse gila nahi
main khud se hi khafa hu tumse khafa nahi

kaise tumhe batau mera dil hain bekaraar
kis tarah samjhau mujhko tumse bada hain pyar
tumko batlana hain dil yeh deewana hain

tum kya jaano main apne dil ko
kaise samjhata hu
jab bhi tumhe dekhta hu
dekhta reh jaata hu
lagta hain tum toh meri
haalat se ho anjaan
lekin teri khaatir meri
lavb be adi hain jaan
yeh jo afasaana hain tumko samjhana hain

khud se jise chupaya tha
woh aaj labo pe aaya hain
na jaane woh kaun hain jisne
jeena mujhe sikhaya hain
phir se jaag utha hain dil mein
jeene ka armaan
kisne kiya hain aake mujhpe
chupkese ehsaan
koi anjana hain
jaana pehchaana hain

No comments:

Post a Comment