Sunday, September 13, 2009

Agar Tum Kaho

Main Koi Aisa Geet Gaoon
Ki Aarzoo Jagaoon
Agar Tum Kaho
 
Tumko Bulaoon
Ye Palkhein Bichhaoon
Kadam Tum Jahan Jahan Rakho
Zameen Ko Aasmaan Banaoon
Sitaron Se Sajaoon
Agar Tum Kaho
 
Main Titliyon Ke Peechhe Bhagoon
Main Jugnuon Ke Peechhe Jaoon
Ye Rang Hai Vo Roshni Hai
Tumhare Paas Dono Laoon
Jitni Khushbuain Baag Mein Milein
Main Laoon Vahan Pe
Ki Tum Ho Jahan Jahan Pe
Ek Pal Bhi Thehro
Main Gulsitaan Banaoon
Agar Tum Kaho
 
Agar Kaho To Main Sunaoon
Tumhein Haseen Kahaniyaan
Sunogi Kya Meri Zabani
Tum Ek Pari Ka Daastaan
Ya Main Karoon Tumse Bayaan
Ki Raja Ko Rani Mili Thi Kahan
Kahaniyon Ke Nagar Mein Tumhein Leke Jaoon
Agar Tum Kaho

No comments:

Post a Comment