Thursday, September 17, 2009

agar tum na hote

Hamein aur jeene ki chaahat na hoti -2

Agar tum na hote, agar tum na hote

(Tumhen dekhke to lagta hai aise

Bahaaron ka mausam aaya ho jaise) -2

Dikhaayi na deti andheron mein jyoti

Agar tum na hote, agar tum na hote

Hamein aur jeene ki..

(Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa

Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa) -2

Kinaare pe bhi to leher aa duboti

Agar tum na hote, agar tum na hote

Hamein aur jeene ki..

Na jaane kyoon dil se ye aawaz aayi

Milan se hai badhke tumhaari judaai

In aankhon ke aansoo, na kehlaate moti.

Agar tum na hote, agar tum na hote -2

No comments:

Post a Comment