Chupke chupke raat din
aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui
ka voh zamaana yaad hai
Khench le na voh mera
parde ka kona daffatan
Aur dupatte se tera
voh munh chhupaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein
mere bulaane ke liye
Voh tera kothe pe
nange paaon aana yaad hai
No comments:
Post a Comment