Thursday, September 17, 2009

Phoolon Ke Rang Se

Phoolon Ke Rang Se
Dil Ki Kalam Se
Tujhko Likhi Roz Paati
Kaise Bataaoon
Kis Kis Tarah Se
Pal Pal Mujhe Tu Sataati
Tere Hi Sapne
Lekar Ke Soya
Teri Hi Yaadon Mein Jaaga
Tere Khayaalon Mein
Uljha Raha Yoon
Jaise Ki Maala Mein Dhaaga
Haan Badal Bijli
Chandan Pani
Jaisa Apna Pyar
Lena Hoga
Janam Humein
Kayi Kayi Baar
Haan Itna Madir Itna Madhur
Tera Mera Pyar
Lena Hoga
Janam Hameh
Kayi Kayi Baar

Sanson Ki Sargam
Dhadkan Ki Beena
Sapnon Ki Geetanjali Tu
Man Ki Gali Mein
Mehke Jo Hardum
Aisi Juhi Ki Kali Tu
Chhota Sa ghar Ho
Lamba Safar Ho
Sooni Dagar Ho Ya Mela
Yaad Tu Aaye
Dil kho Jaaye
Bheed Ke Beech Akela

Purab Ho Paschim
Uttar Ho Dakshin
Tu Har Jagah Muskuraye
Jitna Hi Jaoon
Main Door Tujhse
Utni Hi Tu Paas Aaye
Aandhi Ne Roka
Pani Ne Toka
Duniya Ne Hanskar Pukara
Tasveer Teri
Lekin Liye Main
Kar Aaya Sab Se Kinara

No comments:

Post a Comment