Thursday, September 17, 2009

Kya Se Kya Ho Gaya

kyaa se kyaa ho gayaa
bewafaa tere pyaar mein
chaahaa kyaa, kyaa milaa
bewafaa tere pyaar mein

chalo suhaanaa
bharam to tootaa
jaanaa ke husn kyaa hain
kahatee hain jis ko pyaar duniyaa
kyaa cheej kyaa balaa hain
dil ne kyaa naa sahaa
bewafaa tere pyaar mein

tere mere dil ke beech ab to
sadiyon ke faasale hain
yakin hogaa kise ke hum tum
yek raah sang chale hain
honaa hai, aaur kyaa
bewafaa tere pyaar mein

Saiyya Beiman

Mose chhal kiye jaaye
haay re haay haay
dekho saiyya beimaan
dekho saiyya beimaan

samajhake mai to haari
dhamakaya di ni gaari
aur karu bhi kya dekho moraa jiyaraa
hahaha...jiyara tarapaay, jiyara tarapaay
mohe haay haay dekho
saiyya beimaan

man ka hai bairi kala
dil jise de dala
priit mori pal pal roye tarapaa
hahaha... tarapa tarasaay, tarapa tarasaay
mohe haay haay dekho
saiyya beiman

Piya Tose Naina Lage Re

piyaa tose nainaa laage re
nainaa laage re
jaane kyaa ho ab aage re

aayee holee aayee
sab rang laayee
bin tere holee bhee naa bhaaye
bhar pichakaaree
sakhiyon ne maaree
bhigee moree saaree
tan badan moraa kaanpe thar thar
dhinak dhin dhin dhinak dhin dhin

raat ko jab chaand chamake
jal uthhe tan meraa
mai kahoo mat kar o chandaa
is galee kaa feraa
aanaa moraa saiyaa jab aaye
chamakanaa us raat ko
jab milenge tanaman milenge tanaman

Beethe Hue Lamhon

abhi alvida
mat kaho doston
na jaane kahaan
phir mulaaqaat ho
kyon ki
beete hue lamhon ki kasak saath to hogi
khwaabon men hi ho, chaahe mulaaqaat to hogi

ye pyaar
ye doobi hui
rangeen fizaaen
ye chahere
ye nazaare
ye javaan rrut
ye havaaen
ham jaaen kahin
in ki mahak saath to hogi

phoolon ki tarah dil men basaae hue rakhana
yaadon ke chiraaghon ko jalaae hue rakhana
lamba hai safar is mein
kahin raat to hogi

ye saath guzaare hue
lamhaat ki daulat
jazbaat ki daulat
ye khyaalaat ki daulat
kuchh paas na ho, paas ye saughaat to hogi

Kabhi Kabhi

Kabhi Kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ki jaise tujhko
banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle
sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe
bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ki ye badan ye nigaahein
meri amaanat hain
Ye gesuon ki
ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein
meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain
shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain
ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai
tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein
khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi
Umra bhar yuhin
Uthegi meri taraf
pyaar ki nazar yuhin
Main jaanta hoon ki
tu gair hai magar yoohin

कभी कभी मेरे दिल मैं ख्याल आता है

कभी कभी मेरे दिल मैं

ख्याल आता है

Kabhi kabhi mere dil main

khayal aata hain

Ki zindagi

teri zulfon ki narm

chhaon main

guzarne pati

to shadab ho bhi sakti thi.

Yeh ranj-o-gham ki siyahi

jo dil pe chhayi hain

Teri nazar ki shuaon main

kho bhi sakti thi.

Magar yeh ho na saka

aur ab ye aalam hain

Ki tu nahin,

tera gham

teri justjoo bhi nahin.

Guzar rahi hain

kuchh iss tarah zindagi

jaise,

isse kisi ke sahare ki

aarzoo bhi nahin.

Na koi raah,

na manzil,

na roshni ka suraag.

Bhatak rahin hai

andheron main zindagi

meri.

Inhi andheron main reh

jaoonga

kabhi kho kar

Main janta hoon

meri hum-nafas,

magar yoonhi

Kabhi kabhi mere dil main

khayal aata hai.

***


कभी कभी मेरे दिल मैं

ख्याल आता हैं

कि ज़िंदगी तेरी जुल्फों कि नर्म

छांव मैं गुजरने पाती

तो शादाब हो भी सकती थी।

यह रंज-ओ-ग़म कि सियाही

जो दिल पे छाई हैं

तेरी नज़र कि शुओं मैं

खो भी सकती थी।

मगर यह हो न सका

और अब ये आलम हैं

कि तू नहीं,

तेरा ग़म तेरी जुस्तजू भी नहीं।

गुज़र रही हैं कुछ इस तरह

ज़िंदगी जैसे,

इससे किसी के सहारे कि

आरझु भी नहीं.

न कोई राह, न मंजिल,

न रौशनी का सुराग

भटक रहीं है अंधेरों मैं

ज़िंदगी मेरी.

इन्ही अंधेरों मैं रह जाऊँगा

कभी खो कर

मैं जानता हूँ मेरी हम-नफस,

मगर यूंही

कभी कभी मेरे दिल मैं

ख्याल आता है.

***

शादाब/Shadab=fresh,delightful


रंज/Ranj=distress,grief


जुस्तजू /Justjoo=desire


हम-नफस/Hum-nafas=companion,friend

Suhani Raat Dhal Chuki

suhani raat dhal chhuki
naa jaane tum kab aaoge
jahaan ki rut badal chhuki
naa jaane tum kab aaoge

nazaare apni mastiyaa
dikha dikha ke so gaye
sitare apni raushani
lauta lauta ke so gaye
har ek shammaa jal chukii
naa jaane tum kab aaoge

tadap rahe hain hum yahaan
tumhare intezaar mein
khiza ka rang,
aa chala hai
mausam e bahar mein
hawa bhi rukh badal chhuki
na jaane tum kab aaoge